I have heard these shayaris in 100.7 fm. radio station by a poet "Karan Singh",i really liked the way he has poured his thoughts in these....hope you also enjoy some from the collection....
1.) Khud se upar jaane ki umeed hai har roz,
ek din mein aisa kahan ho sakta hai,
agar kaam hota aasan toh yeh batao,
kaun nahi jo roz ek khwab bo sakta hai,
isliye roz zehan ko mein nichodta hun
aur karta hun mujhse ho jo sakta hai....
2) Tujhe tanhayee khalne lagi thi isliye,
mein mehaz ek insaan se pura sansaar ban gaya,
teri khushi ke liye meine sach ko jhoot kaha,
padha-likha tha, magar aaj gavaar ban gaya,
aaj tera bhi Dil machla Mohabbat ke liye,
tujhe door na jaana padhe,isliye mein pyaar ban gaya....
3) Yun toh aankhen rehati hain hamesha khoyi-khoyi si,
teri aankhen dekhkar hi inhe, fadhkana yaad aata hai,
mein bhi yun toh hun zara phatar Dil mijaz ,
par tujhe rota dekh,mujhe tadapna yaad aata hai,
dil bhi tera sust ,bulakad mujh jaisa,
par teri aahat sun ne se,isse dhakhana yaad aata hai...
4.) Tasveer kagaz par aye utaarane wale,
kabhi hume bhi toh aankhon mein utaar,
dawa karo, dua karo jab lage koi maraj,
kuch na karo jab lage pyaar ka bukhaar,
koi wafaa ke laayak nahi is jahaan mein ,
jaa apni iss soch ko jaakar tu sudhaar.....
5.) Muuh mein kyun hai zubaan ,
jab usse hi na woh pukaare.
khud badan hi na de saath,
toh jiye rooh kiske sahaare,
kabh se intezaar mein hun aye ilaahi,
par raah na aaye nazar,
meri nazar hui kamjoor, ya tere dhundale pade ishaare,
meine suni hai nazar se uski ek pukaar, ek intajaa asar,
de uske labon ko toh harf(shabd),
tab tak woh aankh se pukaare...
6.) Uske husn ki kheti choguni ho rahi,
uspar padi har nazar khwaishe bo rahi,
usse dekh mera imaan mela-mela hua,
usse dekh kar nazar rooh ko dho rahi,
aasmaan cheer diya aaj toh isne asar,
taadh ho gayi chahat,kabhi til jo rahi...
7.) Tujhe toh rokh lun magar,teri majburi ko kis tarah taalun,
mann ke kis kuaen se isse rokhena ka bahaana nikalun,
isliye yeh soch kar ki,tu chahakar bhi meri khatir na rukh payega,
mein tujhe haske kar dun vida,jaane tu lautkar fir kab aayega,
bas ek hi guzarish hai tujhe se agar tu aaj mere liye na rukh sake,
itna na jaana dur jahaan meri intezaar ki sada na pahuch sake...
8.) Zara sa aapka waqt lunga, agar izazat ho toh,
ek dard jabadan hoton par chad aaya hai,
raakh si shakal ho gayi hai meri aye doston ,
uske pyaar mein itna khoon jalaaya hai,
aur chamak raha hai woh bewaafa ho kar bhi,
mere askhon se woh kya saaf nahaaya hai...
9.) Meine chahaa ki, meri pasand ki ladki dharti par hi ho,
jannat mein jaane ke liye, marna padha toh,
yeh bhi chahaa ki woh bilkul bhi khubsurat na ho,
usko paane ki khatir, agar zamaana bhi adaa toh,
aur yeh bhi chaaha ki, woh rahe ghar ke aas pass kahin,
kya pata naye "BUDGET" mein Bus bhaada bada toh.....
So these are some of the shayaris from the collection, i will also be updating new,and good ones ...hope you liked it....
Thank you :-) ...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
mannnn!!!!
ReplyDeleteI really dint get most of da shayaaris .. last last mein padh bhi nahi paaya. Raat ko padh raha tha, kuch samaj hi nahi aa raha tha .. No offence against u ..
ReplyDelete